Thursday, 12 May 2011

picassa

                                           COLLAGE WORK:

Wednesday, 11 May 2011

Mela on Jinnah University

" MELA"
Benish : Mery pass ek good news hai.
Huda : Mid-term k kasi paper mai pass ho gay kia?
Benish : Aray nai yar Mela ho reha hai university mai :)
Huda : Mela tw student week mai hota hai q mazak kar rahi ho.
Benish : Mai abhe notice board perh k a rahi hun.26 march ko mela hai hamari university mai.agar stall lagana chaho tw miss Tooba sy milo ja k.
Huda : waao chalo achi baat hai kuch tw mazay karny ko mila.
Benish : han bus dua karo k mela acha ho or maza ay.
Mela , Mela , Mela har jagha melay ki dhoom machi hoi hai.is Melay ki tiyarrian bhat zor shor sy hoin or akhir kar 26 march haftay ka din b a poancha jab jinnah university mai mela lagaya gaya tha.
ye mela sirf khavateen k liay munakid kia gaya tha.Talbaat k sath un ki walda , behno ,doston or khavateen rishtay daron ko shirkat ki ajazat de gai the.is wajha sy khavateen ki bari tadad ny Melay mai shirkat ki.
Melay mai mukhtalif kisam k stalls lagay gay thay jin mai khanay penay ki cheezon k stall , chorian , kapray , jewllery , decoration peaces wagaira k stalls lagay gy tahy.isi terhan mukhtalif  companio ny b stall lagay huay thay jin mai PTCL or Qubee shamil hain.
Khanay penay ki cheezon mai rool kabab , singa purian rice , shahwarma , kasray shahreen , finger chips , pizza point or united bakery k stalls shamil thay.
kahnay penay ki cheezon k alava jhulay bhe lagay gay thay jinho ny bari tadad mai larkion ko apni taraf mutawajha kia hua tha..Melay mai MQM k rehnuma Faisal subzwari nay bhe shirjat ki or un k alava degar mehmano nay shirkat kar k melay ki ronaq berha de.
melay mai shirkat karnay walay talbaat , asatza or degar loogon ny kushi ka azhar kia or is mokay say lutf andoz huay. melay mai shirkat karny waly logon nay bataya k unho ny bhat mazay kiay or cheezon ki kharadari bhe ki..sabka taalbaat ny bataya k ye mela pechlay saalon mai munakid hony waly melo sy kaheen zada acha or behtreen hai.
Melay mai media say taluk rekhnay walay mukhtalif channels nay bhe shirkat ki jin mai Ptv , Express or Sama channel shamil hain.khavateen ki bari tadad nay shamil ho kar melay ki ronaq mai 4 chand laga diay or usay kamyab banaya.. 

Tuesday, 10 May 2011

video

Mehindi Video

Pakistan V/S India Sami Final Match

                                            "PAKISTAN V/S INDIA SEMI-FINAL"


Dusvain world cup ka semi final Pakistan or India k dermian 30 march 2011 ko india k shear Mohali mai khela gaya.pakistani team nay apnay group mai pehli position hasil ki the or apnay group mai sirf ek match mai shikast ka samna karna pera tha is group mai Pakistan ki sub say bari fatah Australlia k kilaf the.Australlia jo k musalsal 3 martaba ka aalmi champion tha or nakablay shikast reha tha Pakistan nay usay shikast say dochar kai is k bad pakistani team ka moral buland tha or bajh tor per behtari ki umeed ki ja rahi the.
India say semi final ka mukabla india k shear mohali mai hua.jisay dekhnay hamary waziray azam bhe mohali gay or dono mulkon k dermian behter talukat kayam huay.magar world cup tornament mai India nay Pakistan ko 29 runs ki shikast say dochar kia.jo k Pakistani awam ki tavakuat k bilkul ber assk tha.Pakistani kom is shekast ki tavaka nai kar rahi the kaun k media or tamam seneors khalirion k tajziay Pakistani team k haq mai ja rahy thay.jabkay Pakistani ballers nay india ko 260 runs tak mehdod rekha tha.Pakistani team k liay 260 runs ka hadaf mushkil na tha magar bad kasmati sayhamari team kasi plane k bagair jari rai or hamari wiktain garti rahi.power play ka istamal bhe na hosaka.hamary betsmen zimay dari ka muzaira na kar sakay.sachay jazby ki kami the jo kom mai nazar i magar khelarion mai nai.
Asad Shafeeq , Umer Akmal or Misbah-ul -haq say jo umeedain then wo puri na ho sakin.khas tor say Misbah-ul-haq ka susst ravia or kud Shahid Afridi ki beating bhehalat k mutabik nai the.hamari team ka fielding ka mayar b acha nai tha.Tandolker k 4 ketch choray gay.
In sub khamion k bavajud hamara semi final tak ka safar shandar tha or kom nay usay saraha or Pakistani team ki kotahion ko der guzar kartay huay apni team ki hosla afzai ki or wapsi per team ka shandar istakbal kia.ainda behtari ki tavakuat k sath is world cup ka ekhtatam hua.awam nay hoslay k sath is shekast ko kabul kia.india say har gay tw kia hua pakistan nay amann ka chakka tw laga dia or inshallah ainda 2015 mai ye world cup hamara hoga..
Pakistan Zindabad ,Pakistan Paindabad

MID-TERM NEWS

                                                                         MID-TERM:
Uff ye mid term march atay he mid term ki tension sir per savar ho jati hai.time ka tw pata he nai chalta.phelay b socha tha k shuru semester say he perhna shuru kar dain gay lakin aisa bhala ho sakta hai kia??


Jinnah university  mai march k atay he mid term ki tiyarrian shuru ho gain.mid term ka agaz 7 march sy ho raha hai.is silsilay mai talbat mai perhai ka rojhan dekha ja raha hai.kuch larkian apny notes mukamal karti nazar atie hai or kuch pershan ho kar tension lay rahi hain..
                                   mid term k silsilay mai library mai bhe ghama ghami pai ja rahi ahi jo librery aam dino mai khali nazar atie hai mid-term or terminal papers k dino mai asi library mai talbat ka rush nazar ata hai.talbat is silsilay mai group bana kar bhe perhtay hain takay ek dosray ki madad ho sakay.
              dosri taraf dekha jay tw teachers bhe hami papers ki tiyari mai masroof nazar atay hain.un ko bhe apny students sy bhat c umeedain hoti hain jin per students ko pura aterna chahiay.mid term ka result kasi bhe student k liay bhat important hota hai kuan k ye result agay terminal mai bhat maadgar sabit hota hai.
                                                                                            

Sunday, 1 May 2011

NEWS ON UNIVERSITY

                                              "Takreeb-a-takseem-a-asnad jinnah university baray khavateen:"


                                               jinnah university baray khavateen mai 11 april 2011 baroz peer takreeb-a-takseem-a-asnaad ka inakad kia ja reha hai.is takreeb ki tiyarrian jari hain.is takreeb k mehman-a-khasosi governer sindh docter ishrat-ul-ibad hain.takreeb ka agaz theek 4 bajay hamad-a-bari tala sy hoga us k bad governer sindh taalbaat mai asnad takseem karain gay.



citizen journalism

                                               Citizen Journalism

what is citizen journalism?
citizen journalism is the concept of members of the public. "Playing an active role in the process of collecting ,reporting ,analyzing and disseminating news and information."

29 jan 20011 baroz hafta jinnah university beray khavateen mai dawn news channel or shoba ablag-a-amma ki janib sy citizen journalism k mutalik semenar munakid kia gaya..is semenar mai shoba ablag-a-ama sy taluk rekhnay wali talbaat ny bari tadad mai shirkat ki in k sath sath asataza karam ny b shirkat ki..semenar ka bakaida agaz hamad-a-bari talla sy hua us k bad dawn news k program citizen journalism k meazban or producer janab owais mangal wala ny citizen journalism k baray mai talbaat ko lacture dia.
                                    unho ny bataya k ek aam insan jo chezain ya koi wakia dekhta hai jo bhe dunia mai ya us k aird gird ho reha ho or wo usay apni soch sy logon tak poanchay tw wo ek citizen journalist hai.ek acha citizen journalist ye 4 chezain dy sakta hai.
  • apnay tajarbat logn k sath bant sakta hai.
  • apna nazaria pesh kar sakta hai.
  • apnay tajarbat sy agah kar sakta hai.
  • or apni ray sy agha kar sakta hai. 
owais mangal wala ny ye b bataya k agar koi journalist apna kam achay tareekay say karay tw wo kam bhat acha ho sakay ga. acha citizen journalist banay k liay mundarja zail baaton ka khayal rekhna bhat zarori hai:
  • jo wakia kaisa dekhay usay us he terha bayan karay.
  • jo kuch bayan ho wo such ho.
  • alfaz ki adaygi achi honi chahiay.
  • kasi ko nakal na kia hua ho.
  • khaber k liay logon ki madad lain.
  • apni report k baray mai logn ki ray malom karain.
  • kabhi ye na sochain k aap ka muntakhib kia hua unvan bhat kamzor hai.
  • kasi bhe program mai jain tw wahan say kuch na kuch sekh lain.
  • apna nazaria apny alfaz mai bayan karain.
  • aap ki report mai koi fazol chez na ho. 
pura semenar bhat acha hua akhir mai talbaat or asatza ko savalat karnay ka moqa dia gaya.talbaat nay is semenar sy bhat kuch seekha.

Sunday, 17 April 2011

news reporting;

                               "Run phatani pul k kareeb dhamaka"                                            

 Aaj subha 10 bajay run phatani pul ik kareeb bum dhamaka hua.dhamaka bilkul us wakat hua jabjab karachi express wahan saymultan k liay ravana ho rahi the.run phatani k kareeb poanchtay he dhamaka hua.jis ki wajha say karachi express ki akhri bogi ulat gai.log buri terhan bad hawas ho gay.is puray wakay mai 15 log halak or 45 zakhmi ho gaymazeed halakaton ka andesha hai.aur zakhmion ko dabbay sy nikalnay ka kam jari hai.
            wahan per mojud kuch logon nay bataya k subha 7:00 bajay karachi express karachi centt say ravana hoi or jab run phatani pul k kareeb poanchi tw ye hadsa paish a gaya.log bhat dair tak madad sy mehroom rahay , dosray dibbon k musafiron nay ek dosray ki madad say kuch logn ko bahar nikala chonkay yeh jagha shar sy kuch faslay per hai is liay chippa or edhi walon ko b poanchnay mai kuch wakat laga.
                                              Train ka akhri dibba bhat buri terhan mutasir hua hai.is liay ander phassay logon ko nikalna bhat mushkil kam hai.is wakat b yehan kayamat-a-sughra ka manzar nazar areha hai..log apnay pyaron ko dhondtay nazar atay hain.zakhmion ko muktalif haspatalon mai poancha dia gaya hai or baaji logon ko nikalnay ka kam abhe tak jari hai.

Sunday, 3 April 2011

who i m?

Assalam Alakum:
                             my name is syeda benish maryam zehra ..i am student of jinnah university studied in mass-communication department....my intrests are reading books , cooking ,watching dramas etc .