Tuesday, 10 May 2011

Pakistan V/S India Sami Final Match

                                            "PAKISTAN V/S INDIA SEMI-FINAL"


Dusvain world cup ka semi final Pakistan or India k dermian 30 march 2011 ko india k shear Mohali mai khela gaya.pakistani team nay apnay group mai pehli position hasil ki the or apnay group mai sirf ek match mai shikast ka samna karna pera tha is group mai Pakistan ki sub say bari fatah Australlia k kilaf the.Australlia jo k musalsal 3 martaba ka aalmi champion tha or nakablay shikast reha tha Pakistan nay usay shikast say dochar kai is k bad pakistani team ka moral buland tha or bajh tor per behtari ki umeed ki ja rahi the.
India say semi final ka mukabla india k shear mohali mai hua.jisay dekhnay hamary waziray azam bhe mohali gay or dono mulkon k dermian behter talukat kayam huay.magar world cup tornament mai India nay Pakistan ko 29 runs ki shikast say dochar kia.jo k Pakistani awam ki tavakuat k bilkul ber assk tha.Pakistani kom is shekast ki tavaka nai kar rahi the kaun k media or tamam seneors khalirion k tajziay Pakistani team k haq mai ja rahy thay.jabkay Pakistani ballers nay india ko 260 runs tak mehdod rekha tha.Pakistani team k liay 260 runs ka hadaf mushkil na tha magar bad kasmati sayhamari team kasi plane k bagair jari rai or hamari wiktain garti rahi.power play ka istamal bhe na hosaka.hamary betsmen zimay dari ka muzaira na kar sakay.sachay jazby ki kami the jo kom mai nazar i magar khelarion mai nai.
Asad Shafeeq , Umer Akmal or Misbah-ul -haq say jo umeedain then wo puri na ho sakin.khas tor say Misbah-ul-haq ka susst ravia or kud Shahid Afridi ki beating bhehalat k mutabik nai the.hamari team ka fielding ka mayar b acha nai tha.Tandolker k 4 ketch choray gay.
In sub khamion k bavajud hamara semi final tak ka safar shandar tha or kom nay usay saraha or Pakistani team ki kotahion ko der guzar kartay huay apni team ki hosla afzai ki or wapsi per team ka shandar istakbal kia.ainda behtari ki tavakuat k sath is world cup ka ekhtatam hua.awam nay hoslay k sath is shekast ko kabul kia.india say har gay tw kia hua pakistan nay amann ka chakka tw laga dia or inshallah ainda 2015 mai ye world cup hamara hoga..
Pakistan Zindabad ,Pakistan Paindabad

No comments:

Post a Comment